Safal Hona Hai To Ye Kam Aaj Hi Chhod De

Safal Hona Hai To Ye Kaam Aaj Hi Chhod De:

Safalta kise achchi nahi lagti hai. Har 1 vyakti safal hona chahta hai, 1 badha Aadami banana chahta hai, khub sara paisa kamana chahta hai, Lekin us safalta ko paane ke lie mehnat kam hi log karna chahta hai.
Agar aap safal hona chahte hai to aaj main aapke sath kuch bate share karne ja rha hu jo aapko keval safal hi nahi banaegi balki Jeevan ke har chetra me kam ayegi.
To jo bate me aage share karne jaa rha hu un sabhi bato ko bahut hi dhyan se padhe aur ant tak padhe.
To chalie shuru karte hai.
Must Read This Article:

(1) COMFORT ZONE:-

Sabse pahle agar aap vakai me Successful hona chahte hai to aapko 1 Danger Zone ko aaj aur abhi se chhod dena chahie aur us Danger Zone ka nam hai COMFORT ZONE.
Ye 1 esa zone hai jise hum bilkul bhi nahi chhod pate hai. Ye 1 esa Aramdayak Zone hai jise koi bhi person chhodna nahi chhahta hai. Aur jo person is COMFORT ZONE ko chhod de to uski safalta 50% tak pakki ho jaati hai kyoki vo mehnat karne lagta hai aur vah 1 din safal ho jaata hai.
To me aap sabhi se yahi kahna chhahta hu ki Aap apne Comfort Zone ko aaj se aue abhi se hi chhod de.

(2) RESPECT THE TIME:- 

Samay ki kadar kare kyoki samay bada balwan hai. Samay barbad na kare. Agar Samay 1 aam adami ko Raja bana sakta hai h to vahi Samay us Raja ko Rank bhi bana sakta hai.

Samay ko kabhi barbad na kare, Itihas is baat ka gawah hai ki jisne samay ke sath mehnat ki vahi aage chalkar ek bada insan bana to Samay ke sath mehnat karte chalie.

Agar aap 1 Student ho to apni padhai me samay kharch kare aur agar aap Businessman hai to apne Business ko aage lane me mehnat kare, bas khali na bethe.

Jis din apne samay ke sath mehnat karna band kar di to aapka Patan nischit hai Kyoki ek chalayman nadi ka paani taza aur swachch hota hai lekin jo nadi ruki hui hoti hai usme kanji lag jaati hai.

To mera aapse bas yahi kahna hai ki Mehnat karte chale jaaie aur aage badhte jaae.

 

READ ALSO:-

(3) BE POSITIVE:-

Apne aapko hamesa Sakaratmak Yani Positive rakhe kyoki Positivity hi aapko aage le ja sakti hai. Sakaratmak logo ke sath rahie.
Sangat ka asar kisi vyakti pe sabse jyada hota hai aur agar aap kisi particular person ka nature janna chahte hai to sabse pahle ye pata kijie ki vo particular person kin logo ke sath jyada rahta hai.
1 person ka nature un 5 logo ka Average hoga jinke sath vo apna jyada time spend karta hai.
To hamesha Positive yani Sakaratmak logo ke sath hi rahie kyoki ye log aapko aage badne me sahayta karenge.

(4) RESON OF FAILURE:-

Aapki apni Safalta me sabse bada Roda agar koi hai to vo khud aap hai. Aap apne aap ko kisi field me safal hote dekhna chahte hai lekin aap hi sochne lag jaaenge ki
try karu ya na karu?
Me safal hounga ya nahi?
isi tarah ke questions aapko aage badne se rok lenge. To aapk khud hi apni asafalta ke jimmedar hai.
Log kya kahenge kya nahi kahenge, ye sab mayajaal hai, jisme aapko kabhi nahi fasna hai. Agar koi kaam hai jise aap beinteha karna chhahte hai to fir logo ke bare me sochne se koin fayda nahi hai.
Agar aap chahte hai ki safalta hath se na nikle apne aap ko mat rokiye, Apna pahla kadam to aage badaiye, safalta mil hi jaaegi.

(5) BREK THE GOAL:-

Sabse pahla aap apna 1 Goal decide kijie aur us Goal ko paane me lag jaae. Par kabhi kabhi vah Goal kafi bada lagta hai, Itna bada ki hum dar jaate hai ki yah Goal hum achieve kar payenge ya nahi.

Agar esi situation aap ke sath bhi hai to iska solution mere paas hai aur vo ye ki app apne us bade goal ko chote-chote goal me break kar de aur fir un chote goal ko achieve karne ka prayas kare.

Ese me aapko pata bhi nahi chalega ki kab vah bada goal aapne achieve kar lia.

SO BREAK THE BIG GOAL INTO SHORT GOAL.

 

READ ALSO:-

(6) FAILURE IS THE WAY TO SUCCESS:- 

Hum log apne Goal ko paane me Din-Raat ek kar dete hai aur agar ese me kabhi safalta hath na lage to hum bahut pareshan ho jaate hai aur sochne lag jaate hai ki hum Fail ho gae. Lekin dhyan dene vali baat ye hai ki aap tabhi asafal honge jab aap ye maan le ki aap asafal ho gae hai.
To Jab Kabhi Asdafalta hath lage to Haar na mane balki fir se uthiye aur koshish jari rakhe. Safalta Jarur Milegi.
Asafalta se ghabrae nahi, balki use ek chunoti ki tarah le ki ab to kuch bhi ho jaae, main kisi bhi halat me safal ho ke hi raunga.
Aur vese bhi Itihaas utha ke dekh lo ya kisi bhi mahatma ki jeevani padh le to aap paenge ki ve bhi bahut bar asafal hue hai, lekin nirash hone ki bajay ve fir se uth khade hue. Aur vese bhi Asafalta ko safalta ki sidhi mana jata hai. Agar aap safal hona chahte hai to Asafalta ke lie teyar ho jaae.

(7) BE HONEST:- 

Apne aap se aur apne Parents ke sath Honest rahie. Unke sath kabhi jhuth na bole. Agar aap esa kuch karte hai to aap khud hi Asafalta ko Aamantrit karte hai.
Aur vese bhi ek vyakti 100 logo se jhuth bol sakta hai kintu vah khud se kabhi jhuth nahi bol sakta hai.
To hamesha apne aap se aur dusro ke sath Honest rahie.

(8) PROCRASTINATION:-

Kabhi bhi kisi kam ko lekar bahane na banae. Use jitna jaldi ho sake utna jaldi kare kyoki:
काल करे सो आज कर , आज करे सो अब | 
पल में परलय होय, बहुरि करे गा कब ||
To ek bar samay nikal gaya to hath me kuch na bachega sivay Pachtane ke. To Procrastination yani Talamtol ki aadat ko aaj se chhode tabhi safalta hath lagegi.
Must Read This Article:

(9) FOCUS ON GOAL:-

Agar aapka dhyan aapke lakchya par hi he to aapko jitne se koi nahi rok sakta lekin agar aapka dhyan Goal pe na hokar Samasyao par hai to aapki Asafalta nischit hai.
Aapko dhyan hoga jab Dronacharya, 5 pandavo ki Parikchha lete hai jisme keval Arjun hi safal ho paate hai kyoki Arjun ka dhyan keval Aankh  par tha baki pandavo ko pedh, pattiya, aur pedh ki dagal dikh rahi thi.
Isse ye pata chalta hai ki agar aapka Focus apke Goal par hai tab aap jarur safal honge aur agar aapke mind me abhi bhi koi doubt hai to aap asafal ho jaaoge.

(10) BE ACTIVE:-

Haesha Sakriya (Active) rahiye. Jo aapka kaam hai use pure man se kijie. Kyoki agar aap ek bar nishkriya (Inactive) ho gae to Sakriya hone me kaafi time lag jaaega. To apne aapko chalaymaan rakhie. Aur apne Goal kin taraf badhte chale jaaie. Yahi Safalta ka raaz hai.

 

ALSO READ:-

Dosto in sabhi bato par gor karie aur ika palan kijie. Ye hi va baate hai jo ek person ko Successful banati hai.

NOTE:- Ye Article Hindi language me likha gaya hai, aur ise likhane me kafi Research ki gai hai agar koi mistake hoti hai to Main iske lie maafi chahta hu.
To dosto kesa laga ye article. Agar aapko acha laga to niche Comment jarur kare.
Me aage bhi ese hi Motivational Article lata rahunga to aap mere is Blog ko Subscribe kar sakte hai taki aap meri aane vale Article ko miss na kare.
Aur ise apne friends ke sath Jarur Share kare.
DHANYAVAD

Leave a Comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.